Tuesday, June 19, 2018

Making of indian constitution in hindi

Indian constitution

 ham sabhi jante hai ki baharat ko azadi 15 august 1947 ko mili thi.lekin koi bhi desh  ko sahi se chalana tabhi sambhab hai jab us desh ka constitution majbut or bhut hi achaa ho.

making of indian constitution 
indian constitution banane ki kahani start hoti hai 1857 ki karanti ke baad se jab india ka sara control east india compani ke hatho se nikal kar british crown ke hatho me chala gaya thaa .Is ke baad british sarkar ne india ki sari bhagdor aapne hatho me le li or usko sahi se chalane ke liye sabse pehle ek act laye jiska naam thaa.


INDIAN GOVERNANCE REGULATION ACT(1858):-is act ne pure india ka control  ab sidhe british government ko handover kar diya thaa.is act ki kuch bate is prakar thi.

1.is act se pure desh me east india company ka control shamapt ho gaya.
2.is se company ka sari power secretary of state for india ke paas aagayi.
3. is secretary of state for india ki help ke liye 15 member ka ek group bhi tha .is ke sabhi member ko salary indian logo se liye gaye tax se di jati thi.

Is act ke baad har bar kuch salo ke baad ek naya act aa jata jisme naye niyam or rules hote.kuch act is parakar the.
INDIAN GOVERNANCE REGULATION ACT(1861)

INDIAN GOVERNANCE REGULATION ACT(1892)

INDIAN GOVERNANCE REGULATION ACT(1909)

INDIAN GOVERNANCE REGULATION ACT(1919)

INDIAN GOVERNANCE REGULATION ACT(1935)

KRIPSH MISSION (1942)

KEBINET MISSION (1946)

Ye sabhi act jo aaye the in sabka bhut bada contribution hamare constitution ko banane me h .bo isliye kyuki in act ke bhut sare rules or regulation humne aapne contitution me bhi liye gaye h .in sabme sabse important act the 1919 &1935 ,ye act ki bhut sari rules hamare
 constitution me follow hue he .
Ab baat aati he ki hamara constitution likha kisne?  
humko pataha ki hamara ye jo sambhidhan h ye puri duniya me ab tak ka likha huaa sabse bada sambhidhan h .to isko banane me bhi kisi ek insan ka hath nahi ho sakta ,hamare sambhidhan ko banaya gaya thaa bo bhut sare logo ka ek group thaa jisko hum bolte h
संविधान सभा (CONSTITUENT ASSEMBLY) ne likha tha .
is assembly ka kaam constitution banana ta .


kebinet mission ke anusaar assembly ke sabhi member ko people yani janta select karegi isliye 1946 me july-august me election kiye gaye or total 389 logo ko select kiya assembly ke liye in 389 logo me 292 member un states se the jis par us samay british ki hukumat thi.
93 member desi riyasato se the 4 member commisnery  area se the .election me sabse jyada member congress ke jite 208,uske baad muslime lig ke jite 73 or phir 15member other the 

lekin jab CONSTITUENT ASSEMBLY ki pehli meeting hui to muslim lig ke member nahi aaye meeting me kyu is ke piche ye baat thi ki be log ek alag state ki mang kar rahe the jo ab pakistan hai unhone pakistan ke liye alag CONSTITUENT ASSEMBLY ki mang rakhi .

iske baad India or pakistan ka batbara 3june 1947 ko maunt beten ne karaya( jiske baad 296member jo ki british state se the un logo 229 member hi ab Indian assembly me reh gaye the ,93 desi riyasato me se 70member Indian me rahe .

jab  31 oct 1947 ko meeting bolai gai tab kebal 299 member the.lagatar 2 saal 11 mahine 18 din me hamara constitution bana .

26 January  1950 ko hamara constitution power me aa gaya.

friends hamara constitution jitna bada hai uske banne ke piche bhi itni badi history hai ,or ye sari baate me aapko ek hi article me nahi bata sakta hu to friends please aap mere is blog pe aaiye me har din ek naya article apke liye launga jisme costitution se juri or history se related bhut si infomation hongi. ye sabhi jankari aapko kisi bhi exam ko clear karne me bhut help kar sakti h.

please comment kar ke bataiye ki is blog me aapko kya kami lagi or kya bate aapko aachi lagi THANK FOR VISITE.